Help & FAQ

Madad chahiye? Humse baat kijiye

Sawaal, suggestion ya koi dikkat — jaise aapko aasaan lage.

✉️ parth@dhruvlife.com✉️ dhruvlifeeducation@gmail.com

WhatsApp aur call: +91 63905 79952

DHRUV kya hai?

+

DHRUV aapka apna AI Study Buddy hai — CBSE Class 9 & 10 ke liye. Yeh aapke exams, school marks aur roz ki progress ko samajhta hai aur har din ka study plan banata hai — jaise ek dost jo roz aapke saath padhne baithta hai. Learn, Revise, Practice aur Mock Test — sab ek app mein.

DHRUV mein kaunsi classes aur subjects hain?

+

Class 9: Mathematics, Science, Social Science aur Computational Thinking and Artificial Intelligence (CT&AI). Class 10: Mathematics, Science, Social Science aur Computer Applications. Sab kuch CBSE ke latest syllabus ke hisaab se. Apne subjects aap More → My Subjects mein kabhi bhi badal sakte hain.

Padhai kis language mein hoti hai?

+

Learn aur Revise Hinglish mein hain — samajhne mein aasaan, aur technical terms English mein, jaise exam mein aate hain. Practice aur Mock Test ke questions aur model answers English mein hain, kyunki exams English mein hote hain.

Learn, Revise, Practice aur Mock Test mein kya farak hai?

+

Learn mein har topic step-by-step samjhaya jata hai — examples, diagrams aur solved questions ke saath. Revise mein flashcards, key notes aur chapter summary se jaldi dohraiye. Practice mein exam-pattern questions solve kijiye, hints ki madad lijiye. Mock Test mein exam jaisa poora paper, time ke saath — exam se pehle khud ko parakhiye.

App kaise use karein? Tour kahan milega?

+

Har screen pehli baar kholne par Dhruv ke saath ek chhota sa tour milta hai — kya kahan hai aur kaise kaam karta hai. Dobara dekhna ho to More → DHRUV App Tour mein poora tour, ya kisi ek screen ka tour chuniye.

Ask DHRUV kya hai?

+

Learn ya Revise mein koi doubt ho, to "Ask DHRUV" box mein likhiye ya mic dabakar boliye. DHRUV usi chapter ke hisaab se step-by-step samjhata hai. Ek din mein 20 sawaal pooch sakte hain, aur pichhle 30 din ke chats More → Last Doubts mein milte hain. Har jawab par 👍 / 👎 dabakar batayiye ki kaisa laga.

Explain Back kya hai?

+

Learn mein topic padhne ke baad apne shabdon mein likhiye ki aapne kya samjha. DHRUV batata hai ki kya sahi samjhe aur kya thoda aur padhna hai — aur zarurat ho to us chapter ki revision jaldi le aata hai. Ek din mein 10 baar. Poora chapter padh liya ho to chapter ke end mein poore chapter ka Explain Back bhi kar sakte hain.

Learn mein YouTube se padh sakte hain?

+

Haan. Har chapter ke naam ke paas red YouTube button hai — woh us chapter ki popular videos kholta hai. 2 min ya usse lambe trip ke baad wapas aane par DHRUV poochta hai "YouTube par kya padha?" — jo topics padhe unhe tick kijiye, ya poora chapter. Har topic ke liye us chapter par 3 min ka YouTube time chahiye, aur chapter ka time judta rehta hai. YouTube time par points nahi milte, kyunki DHRUV ise check nahi kar sakta. Analytics aur Parent Report mein yeh * ke saath alag dikhta hai.

Chapter check kya hai?

+

Poora chapter Learned mark karne par (Learn se ya YouTube se), DHRUV 10 sawaalon ka ek chhota check deta hai — 10 min mein. Isse aapko aur DHRUV dono ko pata chalta hai ki chapter kitna samajh aaya. Pehli baar, kam se kam aadhe sawaal karne par, +15 Dhruv Points milte hain. Score kam aaye (50% se neeche) to chapter Kamzor mein aa jaata hai aur DHRUV uski revision jaldi le aata hai. "Baad mein" chunne par yeh aapke plan mein mission ban kar aata hai.

Focus Mode kya hai?

+

Padhai ke waqt distraction band rakhne ke liye. Home par Focus Mode card se, ya study clock ke paas 🎯 Focus button se session shuru kijiye — 15 min se 3 h 30 min tak. Do tarah ke session hain: "Study in DHRUV" (DHRUV mein padhai) aur "Self-study *" (copy-kitaab se apni padhai). Study in DHRUV session poora karne par, study timer jitni padhai gine, utna bonus: 12+ min par +5, 24+ par +10, 48+ par +20. Session ke beech DHRUV ke reminders ruke rehte hain aur zarurat ho to baad mein aate hain.

"Self-study *" ka matlab kya hai?

+

Self-study mein aap DHRUV ke bahar padhte hain — copy, kitaab ya notes se. DHRUV ise check nahi kar sakta, isliye yeh sirf aapke Focus time mein judta hai, points nahi milte. Analytics aur Parent Report mein yeh * ke saath dikhta hai — yeh aapka apna hisaab hai.

Focus session mein break le sakte hain?

+

Haan, Pause dabaiye. 30 min se chhote session mein break nahi hota. 30–59 min mein ek 5 min ka break milta hai. 1 ghante ya usse lambe session mein har poore ghante par ek 10 min ka break, aur 30+ min bachein to ek 5 min ka aur. Break kabhi bhi le sakte hain. Break jaldi khatam kiya aur 5+ min bache, to woh baad ke liye chhota break ban jaata hai. Break khatam hone par DHRUV khula ho to session apne aap chal padta hai; band ho to "Break khatam" notification aati hai aur wapas aane ke liye 2 min milte hain.

Session ke beech DHRUV se bahar gaye to?

+

30 sec ke andar wapas aa gaye to session chalta rehta hai. Usse zyada bahar rahe to session ruk jaata hai — jo padhai hui woh save rehti hai, aur Continue se aage badha sakte hain (bonus nahi milega). Phone ki screen lock karna, ya laptop par doosra tab kholna, bhi bahar jaana maana jaata hai. Do cheezein bahar jaana nahi gini jaatin: DHRUV ke photo button se camera kholna (3 min tak), aur Learn ke YouTube button se YouTube jaana (30 min tak). Self-study session DHRUV se bahar jaane ya app band hone par nahi rukta. Uska break khatam hone par notification aata hai — wapas aakar Resume dabaiye; 15 min mein wapas na aaye to session band ho jaata hai, aur jitna focus hua woh save rehta hai.

"Break khatam" notification nahi dikhi?

+

Phone ki settings mein DHRUV ki notifications on rakhiye, aur lock screen par dikhane ki permission bhi dijiye. Tab screen band hone par bhi "Break khatam" dikh jaayega.

Phone par distraction aur kaise kam karein?

+

Phone ka apna Focus mode ek baar set kar lijiye — phir har baar bas ek tap. Android: Focus mode — Settings kholiye aur "Focus mode" search kijiye (Digital Wellbeing mein). Instagram, WhatsApp jaise apps chuniye. Agli baar se Quick Settings mein ek tap se on kijiye — apps aur unki notifications ruk jaayengi. Chrome ya DHRUV ko is list mein mat daaliye, warna DHRUV bhi ruk jaayega. · iPhone: Do Not Disturb — Control Centre kholiye. Focus dabaiye aur Do Not Disturb chuniye. Notifications band ho jaayengi. iPhone apps nahi rokta, sirf notifications band karta hai. · Laptop — Baaki tabs band kijiye. Phone silent karke door rakhiye. DHRUV full screen mein kholiye. Doosra tab kholna DHRUV chhodna maana jaata hai.

Mera roz ka study plan kaise banta hai?

+

DHRUV aapke aane wale exams, aapke school test ke marks, aapki progress aur jahan aapko mushkil ho rahi hai — sab dekh kar har din ke chhote-chhote missions banata hai. Exam paas aaye to uske chapters pehle aate hain. Missions poore kijiye, roz thoda-thoda aage badhiye.

Dhruv Points, streak aur level kya hote hain?

+

Dhruv Points asli padhai par milte hain — padhai ka time, flashcards, Practice aur Mock Test mein har mark par 1 point, chapter poora karna aur aaj ke saare missions. App kholne ke points nahi milte. Padhai se ek din mein 200 tak; badges, birthday aur dost ke points alag se milte hain. Streak batata hai ki aapne lagataar kitne din kam se kam 5 minute padhai ki. Points se level badhta hai — 11 levels, Anchoring se DHRUV Star tak. Sab Home par Streak & Progress mein dikhta hai, aur badges wahin se khulte hain.

School ke exam dates aur test marks kahan daalein?

+

More → My Exams mein exam add kijiye — start date, subjects, har subject ki date aur chapters. More → School Marks mein apne school test ke marks daaliye. DHRUV in dono se samajhta hai ki kahan zyada practice chahiye aur plan usi hisaab se badal deta hai.

Parent Report kya hai?

+

Analytics mein sabse upar Parent Report hai — roz raat 9 baje us din ki report, aur har Sunday raat 9 baje poore hafte ki. Hinglish ya Hindi mein, "Suniye" dabake padh kar bhi suna sakte hain — taaki aap ghar par mummy-papa ko dikha sakein ki aaj kya padha.

Practice mein answer kaise dete hain?

+

MCQ aur fill-in-the-blank mein option tap kijiye ya answer likhiye. Written questions ke liye answer type kijiye, ya copy par likh kar uski photo bhejiye. DHRUV aapka answer check karke marks aur feedback deta hai, aur har question ke saath model answer bhi milta hai, taaki aap apna answer compare kar sakein.

Mock Test kaise check hota hai?

+

MCQ jaise answers turant check hote hain. Likhe hue answers ki photos aap upload karte hain, aur DHRUV unhe check karke har question ke marks aur feedback deta hai. Ek din mein 1 aur ek hafte mein 5 Mock Test de sakte hain.

Agar lage ki mera answer galat check hua?

+

Result screen ke end mein "Raise a checking issue" dabaiye aur likhiye kya galat laga — 7 din ke andar. Hum har issue khud dekhte hain aur jawab aapko app mein hi Home par aur us result par milta hai.

Practice aur Mock ki limit kyun hai?

+

Taaki har din padhai ka balance bana rahe aur har answer dhyan se check ho sake. Ek din mein 3 Practice results (hafte mein 15) aur 1 Mock Test (hafte mein 5). Limit poori hone par app batata hai ki dobara kab milegi.

Kya DHRUV lessons padh kar suna sakta hai?

+

Haan. Listen button dabaiye aur DHRUV lesson padh kar sunayega, line-by-line highlight ke saath. More → Voice & Pace mein apni pasand ki voice aur speed chun sakte hain.

Refer a Friend kaise kaam karta hai?

+

More → Refer a Friend mein aapka apna code hai. Dost ko invite bhejiye; dost signup par aapka code daalta hai. Dost ka setup poora hote hi aapko +100 Dhruv Points aur dost ko +50 Dhruv Points milte hain. Kitne dost aaye, yeh wahin dikhta hai.

Birthday par kuch milta hai?

+

Haan 🎂 Aapke birthday par DHRUV aapko wish karta hai aur 100 Dhruv Points gift mein deta hai — isliye signup par date of birth poochte hain.

Kya leaderboard par sab mera naam dekhenge?

+

Haan — DHRUV par sab students leaderboard par hote hain. Wahan aapka naam, avatar, class, school, city aur points dikhte hain. Aaj, is hafte, is mahine aur ab tak — chaaron mein apni rank dekhiye aur aage badhiye. Na dikhna ho to Settings → Leaderboard se kabhi bhi hat sakte hain.

Ek account kitne devices par chalta hai?

+

Ek account ek hi device par chalta hai, kyunki DHRUV har student ke liye alag plan banata hai. Doosre device par sign in karne par pehle wala device apne aap sign out ho jata hai.

App update kaise hoti hai?

+

Naya version aane par Home par ek card dikhta hai — 'DHRUV ka naya version aa gaya hai'. Update karein dabaiye, bas. Play Store se bhi update kar sakte hain. Aapka current version More → About DHRUV mein dikhta hai.

Mera data safe hai?

+

Hum aapka personal data kabhi nahi bechte, aur koi ads nahi dikhate. Aapka data sirf aapki padhai aur aapke plan ke liye use hota hai. AI ko kabhi aapka naam, phone ya email nahi bheja jata. Answer ki photos check hone ke 7 din baad delete ho jati hain. Poori jaankari ke liye Privacy Policy padhiye.

Account band ya data delete kaise karein?

+

Settings → Close Account se account band kar sakte hain. Sirf band karne se data delete nahi hota, aur aapka number aur email naye account ke liye free ho jaate hain. Apna poora data hamesha ke liye delete karwana ho, to band karte waqt "Mera poora data bhi mita dijiye" tick kijiye, ya apne account ki email se parth@dhruvlife.com par likhiye — hum 30 din mein delete kar dete hain. Poori jaankari: dhruvlife.com/delete-account.

App mein kuch galat dikhe ya kaam na kare to?

+

App mein More → Report a Bug mein likh kar bhejiye — kya hua aur kahan hua. Hum har report padhte hain, aur fix hone par aapko app mein hi bata dete hain. Kisi aur sawaal ke liye upar Help box se WhatsApp, call ya email kijiye.

Jawaab nahi mila? Upar Help box se humse baat kijiye.